Wednesday, July 21, 2010

My first attempt at non english poetry.

Just something that i penned down when i was in one of those moods.Hope you like it.
===========================================================
Note:
-----
Main- meaning'me'
Mein-meaingin


Limits of the latin script. sigh.


________________________________________________________________________________


Vaaden.
------------


Banjara hun main,
Awara hun main.
Zindagi ke is safar mein,
Ghum chuka hun main.


Apne Parchahi ko
na pehchan saka hun main.
Hazaron, Laakhon Khwashion ki
in aasuon mein,
Doob gaya hun main.


Pyar se bhari un
aankhon ko,
hothon ko,
chahate hue bhi,
Kabhi na bhool paunga main.


Dosti ke un haathon se
Haath milaye rakhoonga main.


Phir bhi-


Zindagi ke un
ajeeb or gareeb sharthon ko,
mankar,
Na mankar,
farz nibhaunga,
nibhata rahunga main.


Aparajit ko parajit
ke koshish mein,
Chalta rahunga main.


Akele hi sahi
agar koi na mere saath,
Upar vaale ke aankhon ke samne
Uske haathon ke rekhaon par
Haste, gaate,
badhta rahunga main.
Subha ya shaam,
Din ho
ya raat.




==============================================================


Some promises are meant to be broken, the rest must be kept.

No comments: